Vo intezaar kiske vapis aane ka, jab yaad ka lamha ban jata hain. Fir vo dard shikavon mein badal jata hain aur yei ehsaas jab shabd ke madhyam se kagaz pe tarashe jaate hain, tab shayad isliye aaj iss LAFAZ ka janam hua hain. LAFAZ sirf ek shayari ki kitab nahi hain, yei vo shabd hai jo saath mein piro ke ALFAAZ ban jaate hain aur yei vo shabd hai jo man ki geharai mein chupe the par kabhi zuban par nahi aaye, yei mere jazbaat hain. Shayari ek aisa zariya hain jisse hum apne dil ki aawaz ko kam se kam LAFAZ mein baya kar sakte hain, In 4 panktiyon ko moti kaha jaye to yei 400 shabdon ki motiyon ka anubhav karati hain. LAFAZ ki kahani kuch aisi hi hai, kam se kam shabdon mein kaafi kuch baya karne ka prayaas kiya hain. LAFAZ mein apko pyar, dard, bewafai, yaadien aur mere Kanha Ji, sab milenge, ummeed hai aap sabko yei kitab padh ke apne man mein qaid tasavvur ko udane ka mauka mile aur aap apne lafazon ko khul ke bayan kar sake, to chalte hain "LAFAZ - EK YAAD, SHIKAVA AUR EHASAAS" ke is khoobsurat safar par,mujhe yakeen hain aap is safar ko behad pasand karenge.