Imraan ko samajh naheen aa rahaa thaa ki vah nikaah ke liye haami bhare ya phir inkaar kare . Nikaah karne se kaheen vah apne lakshya se bhatak to naheen jaayega . Desh ko uskee zaroorat hai, yah baat ammee kyon naheen samajhateen . Imraan kee kismat men kya hai, yah vo samajh naheen paa rahaa tha . Gauhar manzil ko bhee apnee taqdeer kaa koi ilm naheen tha .