First of all Thank you so much @mg_literary_tours (on Instagram) for selecting me as your tour host for this book and @_humayunayoub_ (on Instagram) for sending your book my way. 🫶❤️
Just kuch der pehle e ye kitab khtm ki hai mai nay like 3 say 4 gantay ho gaye or abhi tak sahi say smjh nahi aa rhi k kya likhun. Writing style kafi simple tha jo mujh jesay reader (Jo 6 mahinu mai aik baar urdu novel parhta hai) k leay bhi asaani say parhi ja saki. Storyline or jo twists writer nay dalay hain is kitab mai wo boht achay lgay lekin shyd kahani ko or behtar tarikay say execute kia jaa skta tha.
Nail ka character mujhe 75% of the book nahi acha lga or aik waqt pe tou I kind of hated him but end tak mujhe acha lgnay lag gya tha so uski character development mujhe achi lgi. Zeenia or us k Baba k character nay mujhe boht zyada disappoint kia. I mean, muhabbat or har haal mai shadi nibhanay wali cheez or apni hr cheez, hr priority ko qurban kr k shohar ko tarji dena boht zyada bura lga. Mai ye nahi keh rha k esay log nahi hotay duniya mai hotay hain zrur hotay hain lekin as this is a fiction novel tou inki character development or achay tarikay say ho skti thi. Sher dill or Upal ka character development mujhe boht acha lga. Jb k shuru mai mujhe almost saray character 1% bhi achay nahi lgay thay lekin ahista ahista dill ko bhah gaye. Aik waqt pe mujhe esa bhi mehsus hua jese kahani mai mard ki galtiun ki wja orat ko bna k justify kia gya hai lekin ye ho skta hai mai sahi say is point ko nahi smjh ska.
Khair, writer k leay boht sari duaen or naik khawahishat!! Allah ap k qalam mai barkat dalay or agay future mai apko boht kamyaab kray. AmeEn Suma AmeEn.