بهترين ها discussion

27 views
Mirza Ghalib

Comments Showing 1-5 of 5 (5 new)    post a comment »
dateUp arrow    newest »

message 1: by Ecstasy (new)

Ecstasy | 6 comments Mod
Hazaaron khwahishen aisi ke har khwahish pe dam nikle
Bohat niklay mere armaan, lekin phir bhi kam nikle

Daray kyon mera qaatil? kya rahega us ki gardan par?
Voh khoon, jo chashm-e-tar se umr bhar yoon dam-ba-dam nikle

Daray kyon mera qaatil? kya rahega us ki gardan par?
Voh khoon, jo chashm-e-tar se umr bhar yoon dam-ba-dam nikle

Nikalna khuld se aadam ka soonte aaye hain lekin
Bahot be-aabru hokar tere kooche se hum nikle

Bharam khul jaaye zaalim! teri qaamat ki daraazi ka
Agar is tarahe par pech-o-kham ka pech-o-kham nikle

Magar likhvaaye koi usko khat, to hum se likhvaaye
Hui subaha, aur ghar se kaan par rakh kar qalam nikle

Hui is daur mein mansoob mujh se baada aashaami
Phir aaya voh zamaana, jo jahaan mein jaam-e-jaam nikle

Hui jin se tavaqqa khastagi ki daad paane ki
Voh ham se bhi zyaada khasta e tegh e sitam nikle

Mohabbat mein nahin hai farq jeenay aur marnay ka
Usi ko dekh kar jeetay hain, jis kaafir pe dam nikle

Zara kar jor seene par ki teer-e-pursitam niklejo
Wo nikle to dil nikle, jo dil nikle to dam nikle

Khuda ke waaste parda na kaabe se uthaa zaalim
Kaheen aisa na ho yaan bhi wahi kaafir sanam nikle

Kahaan maikhane ka darwaaza Ghalib aur kahaan vaaiz
Par itna jaantay hain kal voh jaata tha ke ham nikle

Hazaaron khwahishen aisi ke har khwahish pe dam nikle
Bohat niklay mere armaan, lekin phir bhi kam nikle...


http://www.youtube.com/watch?v=_Bn8gL...


message 2: by Ecstasy (new)

Ecstasy | 6 comments Mod
koii din gar zindaganii aur hai
apane jii men hamane Thaanii aur hai

baarahaa dekhiin hain unakii ranjishen
par kuchh ab ke sargiraanii aur hai

deke Khat muuNh dekhataa hai naamaabar
kuchh to paiGaamezabaanii aur hai

ho chukiin "Ghalib" balaayen sab tamaam
ek margenaagahaanii aur hai

http://www.youtube.com/watch?v=Si54_k...



message 3: by Jamal (new)

Jamal ye na thee hamaaree qismat ke wisaal-e-yaar hota
agar aur jeete rehte yahee intezaar hota

tere waade par jiye ham to ye jaan jhooT jaanaa
ke KHushee se mar na jaate agar 'eitabaar hota

teree naazukee se jaana ki bandha tha 'ehed_booda
kabhee too na toD sakta agar oostuwaar hota

koee mere dil se pooche tere teer-e-neemkash ko
ye KHalish kahaaN se hotee jo jigar ke paar hota

ye kahaaN ki dostee hai ke bane haiN dost naaseh
koee chaarasaaz hota, koee GHamgusaar hota

rag-e-sang se Tapakta wo lahoo ki fir na thamta
jise GHam samajh rahe ho, ye agar sharaar hota

GHam agarche jaaN_gulis hai, pe kahaaN bachaiN ke dil hai
GHam-e-ishq gar na hota, GHam-e-rozgaar hota

kahooN kis se maiN ke kya hai, shab-e-GHam buree bala hai
mujhe kya bura tha marna ? agar ek baar hota

hue mar ke ham jo ruswa, hue kyoN na GHarq-e-dariya
na kabhee janaaza uThata, na kaheeN mazaar hota

use; kauN dekh sakta ki yagaana hai wo yaktaa
jo dooee ki boo bhee hotee to kaheeN do chaar hota

ye masaail-e-tasawwuf, ye tera bayaaN 'GHalib' !
tujhe ham walee samajhate, jo na baada_KHwaar hota



message 4: by Jamal (new)

Jamal نقش فریادی ہے کس کی شوخیٴ تحریر کا؟

کاغذی ہے پیرہن ہر پیکرِ تصویر کا

کاؤ کاوِ سخت جانیہائے تنہائی، نہ پوچھ

صبح کرنا شام کا، لانا ہے جوئیشِیر کا

جذبہٴ بے اختیارِ شوق دیکھا چاہیے

سینہٴ شمشیر سے باہر ہے دم شمشیر کا

آگہی دامِ شنیدن جس قدر چاہے بچھائے

مدعا عنقا ہے اپنے عالَمِ تقریر کا

بسکہ ہوں غالب اسیری میں بھی آتش زیرپا

موئے آتش دیدہ ہے حلقہ مری زنجیر کا

* * *

جراحت تحفہ، الماس ارمغاں، داغ جگر ہدیہ

مبارک باد اسد، غمخوارِ جانِ دردمند آیا


message 5: by Syaamoi (new)

Syaamoi | 2 comments Salam!

laazim tha ki dekho mera rasta koii din aur
taNha gaye kyuN? ab raho taNha koii din aur

miT jaayega sar gar t'ra patthar na ghisega
huN dar pe t're naasiyah_farsa koii din aur

aaye ho kal aur aaj hi kahte ho ki "jaauuN?"
maanaa ki hamesha nahiN, achchha!, koii din aur

jaate huye kahte ho "qayaamat ko mileNge!"
kya khuub!, qayaamat ka hai goya koii din aur!

haaN, ai falak-e-piir! jawaaN tha abhi "'Arif"
kya tera bigaRta? jo na marta koii din aur!

tum maah-e-shab-e-chaar_daham the mere ghar ke
phir kyuN na raha ghar ka vo naqsha koii din aur?

mujh se TumheN nafrat sahi, "Naiyar" se laRaaii
bachchoN ka bhi dekha na tamaasha koii din aur!

guzri na ba_har_haal yeh muddat khush_o_na_khush
karna tha jawaaN_marg guzaaraa koii din aur

nadaaN ho jo kahte ho!, "kyuN jiite haiN "Ghalib"?
qismat meN hai marne ki tamanna koii din aur!


back to top