Pakistani Readers discussion

49 views

Comments Showing 1-5 of 5 (5 new)    post a comment »
dateUp arrow    newest »

message 1: by Lara (new)

Lara Zuberi (larazuberi) | 571 comments Tum jisay kahaani samajh baithay thay
Us ki haqeeqat batha raha hun mein
Tum masroof ho mashghool ho aur
hasrat say tumhein dekh raha hun mein

kamar jhuk gayee hai meri par
Chari kay sahaaray chal laitha hun do qadam
Beemar parosi ki ayaadath ko
ho aatha hun do qadam

Haath say aksar chamcha gir jaatha hai
Usay uthaanay kee himmat nahin hoti jab
bhookay pait guzaara kar laitha hun mein
Do ghoont paani pee kar
usi say pait bhar laita hun mein

nazar dhundli par rahee hai meri
Akhbaar parhna bhee ab muhaal hai
Poray poray mein dard hai meray
Kya bataaoon kitna bura haal hai

Bohot see baatein ab bhoolnay laga hun mein
Barson pehlay ki baath yaad hai lekin
Ab Kal ki baath
bhoolnay laga hun mein

Baishter waqt tanhai mein guzar jaatha hai
Chand yaadon ko samaitnay mein guzar jaatha hai
Bachon ka intezaar karthay karthay jab nidhaal hojaatha hun mein
khulay darwaazay kay paas baithay baithay hee sojaatha hun mein

Mera chehra tumhaaray jaisa hee tho hai
Chand shiknon kay allawa tumhaaray jaisa hee tho hai
Meri awaaz tumhaaray jaisee hee tho hai
Ghor say suno tho tum say milti julti hee tho hai

Tum jisay kahaani samajh baithay thay
Us ki haqeeqat batha raha hun mein
Mein burhaapa hun tumhaara
hasrat say tumhein dekh raha hun mein


message 2: by Salman (new)

Salman Tariq (salmanahmedtariq) | 236 comments <3


message 3: by Lara (new)

Lara Zuberi (larazuberi) | 571 comments Thankyou for reading and commenting Saad and Salman


message 4: by Fakiha (new)

Fakiha Sadaqat (fakihasadaqat) | 103 comments Zabardast


message 5: by Lara (new)

Lara Zuberi (larazuberi) | 571 comments Thanks a lot Fakiha


back to top