Reh gaya mera asmaan

Jab hui samay se pehli mulaqat
Sikha pal se pal ko jodna
Bunta raha main kuch puratan kuch naya
Kadam badane ki kashmakash main
Yadoon main kahin mera asmaan reh gaya

Jeevan ki pehli yaad ne jab mujhe alvida bola
Mann mera bilkha ek pal uske liye
Dooji yaad ne jhat khushi ka palda bhari kar diya
Na khusi mili poori na dukh ne thama
Bhavnaon ke is dwand main kahin mera asmaan reh gaya

Jab jhanka apni soch main dhundne koi hal
Akelepan ka sayaan charon aur nazar aaya
Dhunda kone kone main aur har jagah bas khud ko paya
Saath ki khoj main swayam ko samjha paraya
Mann ki is paheli main kahin mera asmaan reh gaya

 •  0 comments  •  flag
Share on Twitter
Published on November 01, 2015 23:34
No comments have been added yet.