Ghazala Sammar > Ghazala's Quotes

Showing 1-11 of 11
sort by

  • #1
    Umera Ahmed
    “Duniya main Larkiyon sey ziadah koi ahmaq nahi hota..
    khush fahmi ka aghaaz aur ikhtatam hum par hi hota hai. Sari umar hum mohabbat ki baysaakhiyoN ka intezaar karti rahti hain...Takay Zindagi ki race shuroo karsakain..
    Humain mard kay baray main yeh khush fehmi hoti hai kah woh aaiga.. Koi hum sey hamdardi karay tou humain khush fehmi honay lagti hai ... Koi humari taareef karay tou woh humain apni mutthi main Qaid nazar aanay lagta hai...
    Koi humaray saath waqt guzarat tou humaray hosh o hawas apnay thikanay par nahi rahtay.. hum main MATURITY tab aati hai jab humain REJECT kia jaata hai.”
    umera ahmed

  • #2
    Umera Ahmed
    “Allah Ki Mohabbat Ke Siwa, Har Mohabbat Ko Zawal Hai.
    Rab Ki Mohabbat Ke Illawa Duniya Ki Koi Mohabbat Sachi Nahi,
    Aur Rab Asliyat Dekha Deta Hai. Har Rishte, Har Mohabbat Ki.
    Phir Wo Sab Kuch Dekha Ker Adami Se Kehta Hai,
    "Ab Bata Tera Mere Siwa Kon Hai?”
    Umera Ahmed, Shahr E Zaat/شہر ذات

  • #3
    Umera Ahmed
    “Pehlay pehlay apnay haath say banaye hue butt say piyaar hojata hai phir apnay aap say ishq hojata hai phir apnay aap ko aadmi kaamil samajhnay lagta hai.”
    Umera Ahmed

  • #4
    Umera Ahmed
    “Allah Pe Jab Tawakal Hota Hai Na, Tou Mushkil Kaam Bhi Ahsaan Ho Jata Hai.”
    Umera Ahmed, Shahr E Zaat/شہر ذات

  • #5
    Umera Ahmed
    “Salaar Sikandar nay pichlay aath saalon mai Imama Hashim kay liye her jazba mehsoos kiya tha. Hiqaarat,tazheek,pachtaawa,nafrat,mohabbat sab kuch......Magar aaj wahan bethay pehli baar ussay Imama Hashim say hasad horaha tha.Thi kiya woh......?Aik aurat.....Zara si aurat....Asmaan ki hoor nahi thi....Salaar Sikandar jesay aadmi kay saamnay kiya auqaat thi uss ki. Kiya mera jesa I.Q Level tha uss
    ka?Kiya meray jesi kamiyaabiyaan theen us ki?Kiya meray jesa kaam karsakti thi woh?Kiya meray jesa naam kama sakti thi?Kuch bhi nahi thi woh aur uss ko sab kuch plate mai rakh kar day diya aur main......Main jis ka I.Q Level 150+ hai mujhay saamnay ki cheezain dekhnay kay qaabil nahi rakha?Woh ab aankhon mai nami liye andheray mai wind screen say baahar dekhtay hue barbara raha tha."Mujhay bus iss qaabil kardiya kay main baahar nikloon aur duniya fatah kar loon.Woh duniya jis ki koi wuq'at hi nahi hai aur woh....woh...."Woh ruk gaya.Ussay Imama per ghussa araha tha.Aath saal pehlay ka waqt hota tu woh ussay "Bitch" kehta,tab Imama per ghussa anay per woh ussay yehi kaha karta tha magar aath saal kay baad aaj woh zabaan per uss kay liye gaali nahi la sakta tha.Woh Imama Hashim kay liye koi bura lafz nikalnay ki jurrat nahi kar sakta tha.Siraat-e-Mustaqeem per khud say bohat aagay khari uss aurat kay liye kaun zabaan say bura lag nikaal sakta tha?Apnay glasses utaar kar uss nay apni aankhain masleen.Uss kay andaaz mai shikast khoordagi thi."Pir-e-Kamil(S.A.W.W)......Siraat-e-Mustaqeem....Aath saal lagay thay,magar talash khatam hogayi thi.Jawab mil chuka tha.”
    umera ahmed

  • #6
    Umera Ahmed
    “Kaisi Duniya Hai, Logon Ke Ajeeb-O-Gareeb Sawal Jawab Se Kitne Pareshaan Hain Aur,
    Ek Din Jab Allah Tallh Sawal Jawab Karega Tou Uski Fikr Hi Nahi.
    Ya Allah Khair.”
    Umera Ahmed, Shahr E Zaat/شہر ذات

  • #7
    Umera Ahmed
    “زندگی میں انسان کو ایک عادت ضرور سیکھ لینی چاہیے جو چیز ہاتھ سے نکل جائے اسے بھول جانے کی عادت. یہ عادت بہت سی تکلیفوں سے بچا دیتی ہے.”
    Umera Ahmed, Amarbel/امربیل

  • #8
    Umera Ahmed
    “ہمارے پیچھے کیا تھا ہم بھلانا چاہتے ہیں ہمارے آگے کیا ہے ہمارے لیے ڈھونڈنا مشکل ہے. مگر کہیں نا کہیں کچھ نا کچھ تو ہمارے لیے بھی ہے.”
    Umera Ahmed, Amarbel/امربیل

  • #9
    Umera Ahmed
    “کسی چیز کو صرف میری محبت میرے پاس نہیں لا سکتی.”
    Umera Ahmed, Amarbel/امربیل
    tags: love

  • #10
    Umera Ahmed
    “زندگی میں ایک چیز ہوتی ہے جسے کمرامائز کہتے ہیں. پرسکون زندگی گزارنے کے لئیے اسکی ضرورت پڑتی ہے.جس چیز کو تم بدل نہ سکو اسکے ساتھ کمپرومائز کر لیا کرو مگر اپنی کسی بھی خواہش کو جنون مت بنایا کرو. زندگی میں کچھ چیزیں اسي ہیں جو ہمیں نہیں مل سکتيں. چاہے ہم روۓ چلائيں یا بچوں کی طرح ایڑیاں ‏رگڑیں کیونکے وہ کھخ دوسرے کے لیے ہوتی ہیں جیسے تمہارے پیرنٹس کسی اور کے پیرنٹس ہیں. تمہارا گھر کس اور کا گھر ہے مگر اسکا یہ مطلب نہیں کہ ہوتا کہ زندگی میں ہمارے لیے کچھ ہوتا ہی نہیں. کچہ نا کچھ ہمارے لیے بھی ہوتا ہے.”
    Umera Ahmed, Amarbel/امربیل

  • #11
    Umera Ahmed
    “ہم سب ایک rotten system کی پیداوار ہیں اور اسی میں ‏رہ رہے ہیں. دوسروں پر انگلی اٹھانے سے پہلے اپنا ‏گریبان اور دامن دیکھنا بہت ‏ضروری ہے. اپنے کپڑوں پر دھبے لے کر دوسروں کے داغ دکھانا حماقت کے علاوہ اور کچھ نہیں ہے. اور تم یہی کرنے کی کوشیش کن رہی ہو." علیزہ خاموش ہو گئ.”
    Umera Ahmed, Amarbel/امربیل



Rss