Find & Share Quotes with Friends

Amaan Shaikh Xtraworthy Quotes

Quotes tagged as "amaan-shaikh-xtraworthy" Showing 1-3 of 3
Amaan Shaikh
“Azaadi Aur Alvida

Kya hi kar sakte hain ab,
musafir the safar ke bas.

Kuch chand alfaazon ke sahare ye sehra paar nahi kiya ja sakta,
door jaakar phir qurbat ka iqraar nahi kiya ja sakta.

Ek takalluf tha,
bas usi se azaadi chahiye.

Ae be-garz!
Is shehar mein deewane bahut hain,
bas is abhaage ko riha kijiye.


Aapne toh hamari pukaar ko bhi ek farmaish samajh liya.

Ab daleelein na-mukammal si dua ban chuki hain,
jin ki paimaish hamesha dard hi deti hai.

La-ilaaj hoon,
aur saara ilzaam bhi mujh par hi hai.

Na jaane kyun anjaan hain woh mujhse,
shayad mujhe khaak-nasheen samajh baithi hain.


Agarche garz pyaase ko hai,toh paani ka kya kasoor?
Jhutla diya agar pyaas ne paani,toh phir hothon ka kya kasoor?

Jaiye,
apne auj-e-urooj mein mashroof rahiye.
Hum zawaal mein bhi khud ko sambhalna jaante hain.

Aap jise darr chhodne ko keh rahi hain,
shayad us deewane ka inteqaal ho chuka hai.
Aap mehaz ek zinda laash se guftagu kar rahi hain.
Us zinda laash ne bhi aapko bahut pukara,
magar aap apni bulandiyon mein mashghool the.



Maine toh khaak-e-farsh ko gale laga liya tha,
ab isse zyada kya hi maatam manaun?

Aap apni bulandiyon ka jashn manaaiye,
hum yahin theek hain.



Dar-haqeeqat,
aap azaad hain.
Aur is azaadi ka jashn-e-na-tamaam manaaiye.

Ab aapke darr par khud ki sifarish lekar nahi aayenge
Aapko auj-e-urooj mubarak.
Main khaak chhaan kar hi
apni raah dhoondh lunga.

Khair...

Ye shayad ye aakhir ha hamara saath

Bagair kisi garz ke bhi,aapke dar ki taraf
kabhi rukh nahi hoga hamara.”
― Amaan Shaikh, गुनहग़ार

Amaan Shaikh
“Doobna

Dard mein hain doobe hum,
koi is marz se nijaat de.
Karz mein hain doobe hum,
koi is garz se nikaal de.

Marz mein hain doobe hum,
koi is farz se nikaal de.
De koi malaal de,
wo jo bhi de, sab halaal de.

Na ho kuchh, toh sabab de,
na mile, toh nikaal de.
Logon ko ab misaal de,
mujhe gurbat de, maragh de.

Ya falsafa ka chiraag de,
de magar tu raag de.
Rooh-ba-rooh ajaab de.

Andhere ka azaab hai,
har taraf ek khwaab hai.
Doobe magar khwaab mein,
har khwaab mahaz ek raag hai.
Khwabon ka shayad koi raaz hai.

Be-khudi ka inaam hai,
sarparast yahan gumnaam hai.
Laqab hain, alfaaz hain,
shayad ye jahannum hai,
gunaah yahan sab maaf hai.

Jhoothe hain log yahan,
shaytan ka ijaad hai.
Sab yahan marg hai,
dimaag sabka saaf hai.
Gustakhiyan bhi yahan maaf hain.

Ye sab hain aafatein,
hain meri ye aadatein.

Doobna junoon hai,
isi pe mujhko guroor hai.
Maajhi mera Firaun hai,
aakhir mein sab maun hai.

Arsh se sawal hai,
farsh bhi jawal hai.
Mukaddar bhi hamnashi,
kashmakash mein zindagi hai,
ya kahun dilkashi hai.

Ghamgeen hai mizaaz yahan,
shayad khudkashi hai.”
― Amaan Shaikh, Iktarfa: imperfectly a perfect failure

Amaan Shaikh
“(क़फ़स और परवाज़)"قفس اور پرواز"
आज़ाद उस परिंदे की नज़र से अगर देख पाते,
तो जान जाते मैं क्या सोचता हूँ...

मुसाफ़िर होते, तो समझ जाते
ख़ुद से भटकना कैसा है...

खिड़की से बाहर, हदों के उस पार अगर तुम देख पाते,
तो शायद समझ जाते मैं क्या सोचता हूँ...

उन परिंदों के तराने सुन पाते,
तो शायद समझ जाते मैं क्या सोचता हूँ...

ज़िंदा होते, तो समझ पाते
आज़ाद होना कैसा है...

कैद होकर भी आज़ादी के गीत गाते,
तो शायद महसूस कर पाते,
मैं क्या सोचता हूँ...

by Amaan Shaikh”
― Amaan Shaikh, Iktarfa: imperfectly a perfect failure